Description
“Ahilya Devi” ek aisi pustak hai jo Bharatiya Sanskritik mulyon ke aadhar par “Shiv Shakti” ki avdharna ko batati hai, jisme Lokmata Ahilya Devi ke jeevan mein unke sasur Malhar Rao ki prerna ka mahatva ujagar kiya gaya hai.
Is pustak mein lekhikao ne stri sashaktikaran ke Paschimi darshan ko nakarate hue Bharatiya Sanskriti ke anusar stri ki shakti aur mahatva ko prakasit kiya hai. Ahilya Devi ke jeevan ke madhyam se yah pustak humein yeh samajhne mein madad karti hai ki kaise ek stri apne pati aur parivar ke saath milkar samaj mein sakaratmak parivartan la sakti hai.
Is pustak ke madhyam se lekhak ne yeh dikhane ki koshish ki hai ki kaise Bharatiya Sanskriti mein stri ko ek shaktishali aur pavitra ikai ke roop mein dekha jata hai, aur kaise vah apne parivar aur samaj ke liye ek prerna ka srot ban sakti hai.
Vartaman samay mein kaun-kaun si mahilayein Lokmata ke adarsh ko jeevant kar rahi hain, aisa is pustak ke madhyam se samaj ko batane ka prayaas kiya gaya hai.
Reviews
There are no reviews yet.