Description
ABOUT THE BOOK
Ye saari kahaniyaan aatma ki moolbhoot bhavnatmak jaruraton ko tatolti hain, sath hi sath kadve sach ko bhi ujaagar karti hain. Buddhi aur hriday ke asmanjas me phansa jivan path par agrasar pathik in kahaniyon ka kirdaar hai. Bhaavnaon aur nirnay ke beech bhatakna hi uski niyati hai. Sukh aur dukh unke parinaam hain, jyadatar dukh.
In kahaniyon ko padh agar aap kuch kshan bhi sochne par majboor ho payen to main khud ko safal samjhunga.
ABOUT THE AUTHOR
Mayank Mumbai based filmmaker hain. Unki short film “Ekaaki” ko vibhinn film festivals me kai puraskar mile. Chote shehar se mahanagar tak ka safar tay karte hue unhone vividhtaaen dekhin hain aur wahi sab unki rachnaon me parilakshit hain. Manviya samvednaon aur mulyon ko ujagar kartin ye kahaniyan sahityik pustak lekhan mein unki pehli kriti hai.
Reviews
There are no reviews yet.